Pata Na Chala
"jeewan ek dhaar sa kab bah nikala, pata na chala,
kya shabd, kya kalam, kya the prasth, pata na chala,
kya likhun main in pannon par jin par siyahi nahin tikati,
meri kalam ne kab chora likhana, pata na chala......!
din gujare, raaten dhalati rahi, wo the apani dagar par,
meri subhahon ne shamon se kab naata jora, pata na chala.
main hairan sa dekh raha ki kya hai ye mere jindagi,
mere sawalon ne kab mujhako ghera, pata na chala....!
nirash nahin jindagi se main bhi, par hairan sa hun jaroor,
kaun tha saath mere, kisane tha mujhako mora, pata na chala."
satish bhandari