Ye Kaisa Sawan
Rim-jhim rim-jhim gire sawan
Sulga aur tadpa kar kare bechain ye mann
Vrrah ka maara dil bechara
Seh na sake ye hai kaisi tapan
Pehle bhi to barsa tha baadal
Ab ke baras kyun sulge ye tan mann
Chale jab ye pawan jaane kaisi lage agan
Kaise sambhalu jab behak-behak jaye ye mann
Teri yaad aaye aur mujhe pass bulaaye
Panchhi ban ud jaau main to gagan gagan
Bunde gire jab to jale mera tan mann
Teri yaado ke sang aaya hai ye kaisa sawan
Eknazar