Kitni azeeyat se usne mujko
Kitni azeeyat se usne mujko bhullaya hoga
Meri yadoon ne usko khoob rulaya ho ga,
Baath bay baath yuhin aankh jo teri jhulki ho gi
Usne chehre ko bazooon main chuppaya ho ga,
Socha ho ga usne din main kai baar mujko
Namm hatheli par likh likh ker mera mitaya ho ga,
Jahan mera zikr suna ho ga usne kissi se
Uski aankhon main aansoon to aaya ho ga,
Hoke nidhaal meri yadoon se tune jaana
Meri tasveer par sar tikaya hoga,
Raat ke bheegnay tak neend nahin aai hogi tujhe
Tune takiye ko bhi bahoon main chupaya ho ga,
Poocha hoga jo kissi nay teri halat ka sabab
Tune baathon main usse khoob chupaya hoga.
Dua