Dekhte Dekhte
Dekhte dekhte manzar yuN badal jaate heN
shaam se pehale hii dinn raat meN dhal jaate heN
jabb teri yaad aur meri sakat muqaabil hoN
ashk phir haar kar aaNkhoN se phisal jaate heN
hijr he aatish aye maum-jigar ke qaalib
iss laawey meN tou pathar bhi pighal jaate heN
wasal firaaq kii manzil, firaaq raah-e-wasal
jahaN takk ishq ke silsiley azal jaate heN
kiya bacheN waqt kii zulmat se guzarte lamhe
ye khazane tou yaadoN meN saNbhal jaate heN
jaate jaate koyi tou nishaN de jaate
hum bhatakne kou roz ghar se nikal jaate heN
Tanveer from Vibrantmoments.com