Uski Mohabbat
Aaj uski mahobaat me kami dekhi
chand ki chandni me bhi kuchh nami dekhi
main lout aya wapis
jab auron ke sath uski mehfil jamti dekhi
May 19 2013
by Mohammad Asif Jab Dil Toot-ta Hai
Jab dil toot-ta hai to awaz nahi aati
Mohabbat har kisi ko ras nahi aati
Ye to apni apni baat hai yaaro
koi to bhula nahi pata
Aur kisi kisi ko yaad nahi aati
May 19 2013
by Goutam117 Kinara Kanha Tha
kanha kashti or kinara kanha tha
humne dil lgaya jinse wo hamara kanha tha
har pal sath jinki aadat ho gai thi
thami raho me unka sahara kanha tha
May 19 2013
by eknazar Jeene Ka Matlab
Jeene ka matlab humne mohabat me pa liya
jiska bhi gam mila use apna bna liya
aap ro kar bhi gam ko halka na kar sake
hamne hansi ki aadh me har gam ko chhupa liya
May 17 2013
by D K Alone Sar Jhukaoge To Pathar Dewata Ho Jayega
Sar Jhukaoge to pathar bhi dewtaa ho jayega
Itna na chaho usse, wo bewafa ho jayega
Hum bhi dariya hai, hume apna hunar maloom hai
Jis tarf chal padey raasta ho jayega
May 17 2013
by Amit Zindgi Ka Faisla
Aaj meri zindgi ka faisla ho kar rahega
Hasegi aaj raat ya chand ro kar rahega
Kehna hoga abhi unko sab kuchh
Tutega mera dil ya unka Dil mera ho kar rahega
May 17 2013
by eknazar Tum Bhi Mehsoos Karo Badalna Humara
Auron ki khatir tum bohot badal gaye ae dost,
Ab tum bhi mehsoos karo badalna humara.
May 13 2013
by Kratika Nigam Ghum
Mere gum ko dekh kar maine apne khuda se poocha,
aiy khooda tune mere liye gum hi kyo banaya,
magar jab khuda ne mujhe doosro ka gum dikhaya to mujhe apna gum bahut kam nazar aya.........
So my friend look around this world is filled with sorrow, compare the same with your u might find it too less.
May 13 2013
by Richa Log Kehtey Hain....
Log kehtey hain ke ishq itna mat karo,
Ke husn sar pey sawaar ho jaaye,
Hum kehtey hain ke ishq itna karo,
Key patthar dil ko bhi tumse pyaar ho jaye..
May 13 2013
by Sameena Arif Soch Ko Badlo
Soch ko badlo, sitare badal jayeng,
Najar ko badlo, nazare badal jayenge,
Kashtiya badalne ki jarurat nahi,
Dishaon ko badlo, kinare badal jayenge.
May 13 2013
by Sumona Das