|
Shayari |
|
Sequel to: Aasman Ko Chhoo Lein (Yeh kahani hai ek
|
Jeewan ki is sandhya mein
Parchaiyee ke andhero mein
Ek tinke ki jyot se
Ek ehsaas dilo jighar me jaage
Us aasman ko to chhoo liya maine
Na chhoo saka lekin
Aapne hi dil ki gaharayee ko
Un gahrayee se jo awaz uthee
Wah meri hi rooh ki pukaar thee
Aapni pehchaan de rahi wah
Aapna astitva jaga rahi wah
Jo gulshan khoon aur pasine se sincha
Jo bahar ghar grahasti me laye
Jo daulat humne sangrah kiya
Wah sab cchoot jaye yanhee
Jab meri is jahan se uthe aarthee
Yeh shaan aur sohrat meri
Kyon na de rahi hume khooshi?
Yeh alishaan ghar aur yeh araam ki cheeze
Kyon na inse mile mujhe trupti?
Yeh loukik cheeze de rahi loukik khooshi
Jo har pal hai badalati
Aasman tak kiya safar maine
Ab adhyatmaic safar karna hai mujhe
Aapne astitva se milna hai
Us parmatma se judna hai mujhe
|
|
Jun 19 2008
|
By - gauri prakash |
|
|
|
|
khwab palkon pe boon raha hoon main
phool damanme choon raha hoon main
kaun aata hai meri janibe dil
kiski aahat ko sun raha hoon main
|
|
Jun 19 2008
|
By - Amir shahzad |
|
|
|
intezar
|
Tamam umra tera intezar hamne kiya
es intezar me kis kis se pyar hamne kiya
|
|
Jun 19 2008
|
By - Naziya |
|
|
|
intezaar
|
aaj bhi karte hain tera hi intezaar,
aankhen ruki,dhadkan ruki,saansen ruki.
ruk gayi ye zindagi.
Phir bhi aas karti hai ye karar,
janmon tak karenge tera hi intezaar.
|
|
Jun 19 2008
|
By - ambs |
|
|
|
intezaar
|
Tere intezaar mein dubi ye subah ye sham,
duba sa lagta hai yeh aasman.
Khuda se bus ye hi hai gujarish,
dub jaye bhale hi uski yeh khudai,
bus ek baar mita de ye judai.
|
|
Jun 19 2008
|
By - ambs |
|
|
|
Naziya
|
Yeh khushbuon ka aalam..yeh zindagi ki masti
Phir chhod aye rahbar tum apna dil kahan...
Ik baagh jo tha apna...ik quom jo thi humdil
Ik phhool jis ko chaha be-parwa-e-jahan
|
|
Jun 19 2008
|
By - Manoj |
|
|
|
meri kashti
|
hume to apno ne dhokha diya
gero mai kaha dum tha
meri kashti bhe dubi waha
jaha pani hi kam tha...
|
|
Jun 19 2008
|
By - Saurav |
|
|
|
|
Aise bhi sitam ishq me hote hain,
Ke ratton ko hum jagte aur woh sote hain
Kabhi bhoole se jo do pal ko lage aankh,
To khawab me bhi hum to unse qalt hote hain!
|
|
Jun 19 2008
|
By - Samrat |
|
|
|
hum bhi to paraye nahin
|
kyon kar woh unhi se pyar karte hain hamse kyon nahi
mana ke woh unke apne hai, hum bhi to paraye nahin
|
|
Jun 19 2008
|
By - Nitin |
|
|
|
tu kya hai
|
har baat pe kehte ho tum ke tu kya hai
har baat pe kehte ho tum ki tu kya hai
tumhi kaho ki yeh andaz-e-bayaan kya hai..
bazeecha-e-atfal hai yeh duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamasha mere aage..
un haathon mein jumbish nahi aakhon mein to dum hai...
rehne do abhi saghar-o-meena mere aage
yeh na thi hamari kismat
ke visaal-e-yaar hota....
kya bura tha hamein marna
jo ki ek baar hota....
Mir taqi mir
Patta patta boota boota haal hamara jaane hai..
jaane na jaane gul hi na jaane....
baagh to saara jaane hai.
patta patta boota boota...........
|
|
Jun 19 2008
|
By - Yousuf bhai rangeeley |
|
|